Aankhein
Beautiful eyes gazing Talking with their gazeSearching, soulfulSending endearing praiseWatchfulNot a second adriftI'm embracedAdorned with love's gift.Sweetness and warmthEyelashes naturally curledThose eyes those eyesMy world my world.
Dil Dhoond Rahaa Hai
Dil dhoond rahaa hai ek sawaal ka jawaab
Par na soch kaam aaye, na guru, na kitaab
Kal tak toh lagaa tha
Ke tanhaayee baDgayi hai shaayad
Lekin agarr dil khud hee tanhaayee ko dhoonde
Phir tanhaayi se kya shikkaayad
Tanhaa honaa koi gunna toh nahin
Tanhaa rehnaa bhi ek kalaa hai
Kyun ke tanhaayee mein rehkar hee
Insaan khud se millaa hai
Leykin tanhaayee ki ek khataa hai huzurr
Tanhaayee mein kahin istarhaa na khojaayein
Ke khud ki pehchaan na rahe
Aur hum khud ko hi dhoondte rehjaayein
Insaan toh akhsar bheed mein khojaataa hai
Leykin aaj kal toh tanhaayee mein bhi kho behtTe hain khud ko hum
Chaahe paas aarahi khushi ke pehmaaney ho
Yah phir tarapte tanhaayi bharre sitamm
Phir bhi bheed se ziaadaa
Toh tanhaayee lagti hai pyaari
Kamse kam tanhaayee mein chaahe kuchh aur kyun na dikhe
Par dikhti zaruur hai apni parchaayee
Sabh kuchh saaf dikhrahaa hai
Aainaa bangayaa hai yeh tanhaa saffar
Khud ko dhoondne nikli thi mein
Har mod par mein milli mujhse, anjaan, bey-khabbar.