Bheed mein tanhaayi
Dil pooch rahaa hai aisa kyun?
Bas, yeh aansoon tapak pade hain aaj
Najaane yeh dil iss uljhann mein kyun...
Sabh kuchh hai yahaan
Lekin phir bhi ek kammi si hai
Sabh apne apne paas hain
Phir bhi ajeeb nammi si hai...
Shaayad yehi hai uljhann meri
Ke joh apne hain, woh hain bhi par nahin
Jab chaahti hoon woh hon paas apne
Dekhne mein woh hain kahin nahin
Mehsoos karna chaahti hoon unko
Par phir bhi, woh ehsaas na aaye
Dil bohut akelaa hai aaj
Aur bas, doobta doobta chalaa jaaye.
Koi sambhaalo issey.
Bheed mein bhi hone lagi tanhaayi
Kaash paas aakar koi duur karta issey
Varna iss tanhaayi se na jaaoon maari.
Ajeeb hai ye dil,
Jo bheed mein dhoondta hai tanhayee,
Aur akelepan mein dhoondta hai shor.
Loved it :)