Mirror or Mirage?

A journey in self-discovery about me... about life...about what it means to be... what it means to be happy... and what it means to be alive. Are we really living our lives? Come and explore - reality awaits.

28 September 2005

A child's poetry

Ek arsa hogayaa hai
Kuchh baatein kehni thi aapse
Aap toh bhuul hi gaye
Lekin aap humse hain aur hum aapse

Aap toh yuhin chodkar chalegaye
Sochaa nahin kis haal mein honge bin aapke
Par khudaah ki rehmat samjhoon
Aap humse hain toh hain hum aapse

Aap ke pyaar ne rakha hai yaadon ko taazaa
Kuchh meethi baatein kuchh alfaaz hain aapke
Jab sochti hoon toh guzartaa hai din
Bas ek baat kehni thi aapse: ke aap humaare hain aur hum aapke

2 comments:

Post a Comment

<< Home